Mera Bhola hai sab se Nirala....

Shiv Bhajan : Mera bhola hai sab se nirala


saare jag ka hai wo rakhwala
mera bhola hai sab se nirala
bam bhola bam bhola bam bhola
bam bhola,bam bhola,bam bhola
2.. Bhole Shankar bhagwan ki jai ho

ek chor chala Shiv mandir mein
paap tha us ke andar mein
ghanta aaya use nazar
jo tha Shivji ke upar

lekin tha kaafi ooncha
us tak wo kaise pahuncha

kaise lalach ne chakkar mein dala.
mera bhola hai sab se nirala
bam bhola- 6 times

[chor sochta hai ke ghanta kaise utaarun.
pujari jag jayega agar awaz aa gayi to..

bhole baba to bhaang pite hai
kyun na un ke upar chad kar utar loon]

upaay samjh jab aata hai
chor khada muskata hai
Shiv murat per chadkar
haath lagaya ghante par

ghanta ghan ghan bol utha
chor ka manwa dol utha
wahan pragat hua damru wala
saare jag ka hai wo rakhwala
ho bhole Shankar hai jag se nirala
bam bhola- 6
[
bhole baba toh bhang peete hai
hai bhaqt mujhe pata tha tu yahan aane wala hai
isliye maine jo bhog panditji ko pila diya.
warna wo uth jaate
aur tu pit jaata]

maang maang bole shankar
le le tu man chaha var
chor khada kanpe thar thar
dekh raha hai idhar udhar

main to chor o chakka hoon
jhoota kapatee pakka hoon
baba sach much hai tu bhola bhala
mera bhola hai sab se nirala.

koi mewa modak lata hai
koi chandan mujhpe chada ta hai
per tune to apna tan
kar diya mujhe pe arpan

tu bhakt hai mera chor nahi 
tere jaisa koi aur nahi
jhat bole yun deen dayala
bam bhola bam bhola
saare jag ka hai wo rakhwala 
han mera bhola hai sab se nirala
bam bhola bam bhola bam bhola


bam bhola bam bhola bam bhola

No comments:

Post a Comment

Shyam Teri Bansi Pukaare Radha Naam...

Krishna Bhajan Shyam Teri Bansi pukaare Radha naam, log kare Mira ko yunn hi badnaam, Saawre ki bansi ko bajne se kaam Radha ka bhi Shya...